junun-e-shauq mein mahw-e-tamasha ho gae hum tum mohabbat rang lai khub ruswa ho gae hum tum koi monis na hamdam hai na koi raaz-dan apna hujum-e-shauq ke sae mein tanha ho gae hum tum andheron mein bhatakti hai jawani raushni kaisi ye kya manzil hai mahrum-e-tamanna ho gae hum tum parastar-e-wafa koi nahin bazar-e-ulfat mein kharidari nahin jis ki wo sauda ho gae hum tum azal se qismat-e-adam mohabbat se hai wabasta jahan mein kis liye phir aah ruswa ho gae hum tum chale the do qadam jab bhi kabhi anjam rahon par hasin-o-gul-fishan rahon pe shaida ho gae hum tum surur-o-kaif ke aalam mein apni hosh kho baithe 'nazar' ki chot kha kar mahw-e-jalwa ho gae hum tum