junun hai zehn mein to hausle talash karo misal-e-ab-e-rawan raste talash karo ye iztirab ragon mein bahut zaruri hai utho safar ke nae silsile talash karo ye sar-zamin safar ke liye bahut kam hai chalo ufaq pe nae marhale talash karo jo thak gae ho ye bosida zindagi ji kar to zindagi ke alag zawiye talash karo jo chahte ho ki akhbar chal pade apna to surkhiyon ke liye hadse talash karo ye tang-zauq adibon se khush nahin honge mushaere ke liye maskhare talash karo khuda pe chhod do ye kal koi padhe na padhe nai ghazal ke liye qafiye talash karo