junun ke hath se KHwar-o-KHajil nahin hota

By azwar-shiraziFebruary 26, 2024
junun ke hath se khwar-o-khajil nahin hota
jo apne aap mein itna mukhil nahin hota
kabhi kabhi nikal aata hun apne aap se main
kabhi kabhi mere sine mein dil nahin hota


ghamon ne ki hai saliqe se tarbiyat meri
main baat baat pe ab mushta'il nahin hota
tujhe mili hai pazirai to ghurur na kar
kisi ka nam-o-nishan mustaqil nahin hota


jo har mahine utarta hai mere logon par
'azab hota hai bijli ka bill nahin hota
kisi kisi pe 'inayat khuda ki hoti hai
har ek hasin ke honton pe til nahin hota


zamin pe baith ke karta hun girya-o-zari
yahi sabab hai ki be-ab-o-gil nahin hota
ye aur baat ki bardasht kar liya main ne
wagarna kaun sa gham jaan-gusil nahin hota


bahut thikane hain us shakhs ke magar phir bhi
wo mere dil se kahin muntaqil nahin hota
khusha wo aankh jo nam se chamakti rahti hai
khusha wo dil ki jo patthar ki sil nahin hota


jigar ke ghaw ko chaaragari se kya matlab
ye zakhm wo hai ki jo mundamil nahin hota
wahi to hota hai kuchh kar guzarne ka lamha
main apne aap se jab muttasil nahin hota


48319 viewsghazalEnglish