junun ke shahr se guzar nahin hua to kya hua
By mahwar-sirsiviJanuary 3, 2024
junun ke shahr se guzar nahin hua to kya hua
agar ye ma'raka bhi sar nahin hua to kya hua
ye soch kar guzar denge chaar din ki zindagi
koi hamara ham-safar nahin hua to kya hua
shab-e-visal ke hamare jism par nishan hain
hamara 'ishq mo'tabar nahin hua to kya hua
mere kisi raqib ki du'a qubul ho gai
nasib ku-e-yar gar nahin hua to kya hua
hawa ne kyon bana liya hai fasla charagh se
jawab do ye khauf-o-dar nahin hua to kya hua
wo be-panah hasin hai so main faqat hasin hun
hasin hun hasin-tar nahin hua to kya hua
yahan pe sabr kijiye ye kar-zar-e-‘ishq hai
jo chahte the wo agar nahin hua to kya hua
ye shahr hai yahan ke log kab wafa-parast hain
wafa ka zikr raat-bhar nahin hua to kya hua
har ek shai palat rahi hai apni asl ki taraf
agar main aakhiri bashar nahin hua to kya hua
hamara masala hai hum khuda se kyon gila karen
wo mehwar-e-dil-o-nazar nahin hua to kya hua

69732 viewsghazal • English