junun ki qimat chuka rahe hain

By sumaira-khalidFebruary 29, 2024
junun ki qimat chuka rahe hain
khayal ke par kata rahe hain
wajud ke sad-hazar purze
faza-e-kun mein uda rahe hain


mera hi dil be-yaqin hai warna
sabhi chadhawe chadha rahe hain
zamin ko dozakh bana ke mulla
khayali jannat saja rahe hain


ghuma ke dori mein chand dane
khuda pe ehsan jata rahe hain
bali chadha ke ye khush-‘aqida
khayali paikar mana rahe hain


wo aaine se khafa hain baithe
jo 'aib mere gina rahe hain
thapak ke derina waswason ko
nae tawahhum sata rahe hain


ab in samajon ko rakh kar do
jo aarzu ki chita rahe hain
bahisht se nikle khak-zade
zamin ki raunaq badha rahe hain


ek aan ki laj mein hum aise
nibha rahe the nibha rahe hain
47786 viewsghazalEnglish