junun se umr ki taraf sarak raha hun aaj-kal
By ananth-faaniFebruary 25, 2024
junun se 'umr ki taraf sarak raha hun aaj-kal
qadam badhane se bhi pahle thak raha hun aaj-kal
ghasit lao mujh ko ghar se aur kaam par lagao
zara zara si baat par bhadak raha hun aaj-kal
qafas se sach mein 'ishq hi na ho raha ho ai khuda
samajh na aae itna kyon chahak raha hun aaj-kal
nishana yar khas hai nahin tumhaara is liye
tamam jism dil bana dhadak raha hun aaj-kal
dukan jo chalani hai sukhan ki kya karun 'anant'
ghazal ka nam de ke kuchh bhi bak raha hun aaj-kal

23957 viewsghazal • English