jurat-e-izhaar se rokegi kya maslahat mera qalam chhinegi kya main musafir din ki jalti dhup ka raat mera dard pahchanegi kya be-karan hun main samundar ki tarah mauj-e-shabnam qad mera napegi kya chal pada hun sar pe le kar aasman panw ke niche zamin thahregi kya shahr-e-gul ki rahne wali aagahi mere zakhmon ki zaban samjhegi kya chehra chehra aalm-e-be-chehragi dekh kar bhi zindagi dekhegi kya main to logo sah lun har patthar ka jabr waqt ki shishagari sochegi kya hasraton ki aanch mein is ko tapa yun badan ki tirgi pighlegi kya nutq se lab tak hai sadiyon ka safar khamushi ye dukh bhala jhelegi kya kya tawaqqo kor-zehnon se 'faza' koelon se raushni phutegi kya