jurm-e-izhaar-e-tamanna aankh ke sar aa gaya

By sajjad-baqar-rizviNovember 15, 2020
jurm-e-izhaar-e-tamanna aankh ke sar aa gaya
chor jo dil mein chhupa tha aaj bahar aa gaya
mere lafzon mein hararat mere lahje mein mithas
jo kuchh in aankhon mein tha mere labon par aa gaya


jin ki tabiron mein thi ek umr ki waraftagi
phir nigahon mein unhin khwabon ka manzar aa gaya
shahr ke aabaad sannaton ki wahshat dekh kar
dil ko jaane kya hua main sham se ghar aa gaya


pahle chadar ki hawas mein panw phailae bahut
ab ye dukh hai panw kyun chadar se bahar aa gaya
hum diwanon ke liye thin wusaten hi wusaten
khatm jab sahra hua aage samundar aa gaya


tum ne 'baqar' dil ka darwaza khula rakkha tha kyun
jis ko aana tha wo aakhir dard ban kar aa gaya
81414 viewsghazalEnglish