jurm thahra haal se aage ka naqsha dekhna tazgi ki aas rakhna aur sabza dekhna aarzu karna chaman-zaron ki sabza-zar ki aur ta-hadd-e-nazar sahra hi sahra dekhna azm ye rakhna ki gahrai ka sina chir den aur apne aap ko sahil pe tanha dekhna dhup ki barish mein rahna pyas ki lahron ke sath har sarab-e-dasht ko taswir-e-dariya dekhna dekhne walon se koi harf-e-manzar kya kahe aankh ki taqdir mein likhkha hai kya kya dekhna ye alamat kaun si hai kis se puchhun ai hawa pahli rut mein har shajar par zard patta dekhna kaun batlaega 'ansar' aisi baaton ka jawaz chandni mein baadban par aks-e-dariya dekhna