justuju karte hi karte kho gaya
By bedam-shah-warsiApril 24, 2024
justuju karte hi karte kho gaya
un ko jab paya to khud gum ho gaya
kya khabar yaran-e-rafta ki mile
phir na aaya us gali mein jo gaya
jab uthaya us ne apni bazm se
bakht jage panw mera so gaya
mujh ko hai khoe hue dil ki talash
aur wo kahte hain ki jaane do gaya
khair hai kyun is qadar betab hain
hazrat-e-dil aap ko kya ho gaya
wo meri baalin pe aa kar phir gae
jag kar mera muqaddar so gaya
aaj phir 'bedam' ki haalat ghair hai
mai-kasho lena zara dekho gaya
un ko jab paya to khud gum ho gaya
kya khabar yaran-e-rafta ki mile
phir na aaya us gali mein jo gaya
jab uthaya us ne apni bazm se
bakht jage panw mera so gaya
mujh ko hai khoe hue dil ki talash
aur wo kahte hain ki jaane do gaya
khair hai kyun is qadar betab hain
hazrat-e-dil aap ko kya ho gaya
wo meri baalin pe aa kar phir gae
jag kar mera muqaddar so gaya
aaj phir 'bedam' ki haalat ghair hai
mai-kasho lena zara dekho gaya
60244 viewsghazal • English