juz KHuda aur koi hami-o-nasir mil jae
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
juz khuda aur koi hami-o-nasir mil jae
lutf aa jae qasam se jo wo kafir mil jae
us ki mushkil se main waqif hun yahi hai mushkil
ye bhi ab kah nahin sakta ki bazahir mil jae
ye wahi hain ki jinhen fakhr hai mismari par
dil nahin to koi masjid koi mandir mil jae
shahr ghabrae hue hain nai virani se
dasht aawaz lagate hain musafir mil jae
le kar aaya kahan sadiyon ka safar la'nat hai
koh-e-nur aaj bhi us ka jise nadir mil jae
chain ki sans na le paenge sau sal bhi hum
han ba-sharte koi us se bada shatir mil jae

70613 viewsghazal • English