kaam aa kar bhi to har shaKHs ke tanha hona
By sajid-raheemFebruary 28, 2024
kaam aa kar bhi to har shakhs ke tanha hona
main na kahta tha ki achchha nahin achchha hona
tal deta hun bahane se sabhi logon ko
mujh ko aaya na tere ba'd kisi ka hona
tere hisse ki mohabbat to tujhe milni thi
mere zimme tha faqat us ka wasila hona
hae kis karb se kahti thin wo khali aankhen
tum to samjhoge mujhe tum to masiha ho na
lakh behtar hai zamane ki khabar rakhne se
ek hi shakhs ke har dukh se shanasa hona

72108 viewsghazal • English