kaam hirs-o-hawas ka thoDi hai

By ali-tasifJune 3, 2024
kaam hirs-o-hawas ka thodi hai
'ishq har ek ke bas ka thodi hai
wo meri dastaras mein hai lekin
masala dastaras ka thodi hai


aah aazad chhod de ki miyan
ye parinda qafas ka thodi hai
ta-ba-kai sar pe aasman uthaen
hijr yak do nafas ka thodi hai


ab to bas sur phunkiye ki ye kaam
ab sada-e-jaras ka thodi hai
apni tanhai chhod dun kyunkar
sath ek do baras ka thodi hai


jast bharne ka waqt hai 'tasif'
waqt ye pesh-o-pas ka thodi hai
50229 viewsghazalEnglish