kaam honge na kuchh bhi dua ke siwa
By ahmed-arsalanJanuary 1, 2024
kaam honge na kuchh bhi du'a ke siwa
ya'ni koi nahin hai khuda ke siwa
sach kahunga to maslub kar dega wo
aur dega bhi kya is saza ke siwa
bhul kar bhi na un se ulajhna kabhi
jin ka koi nahin hai khuda ke siwa
ye andhere mein raushan hai jo ek diya
is ka koi nahin hai hawa ke siwa
wo jo uth kar gaya meri dahliz se
us ko kya chahiye tha wafa ke siwa
aaj 'ahmad' ye ehsas hum ko hua
koi apna nahin hai khuda ke siwa
ya'ni koi nahin hai khuda ke siwa
sach kahunga to maslub kar dega wo
aur dega bhi kya is saza ke siwa
bhul kar bhi na un se ulajhna kabhi
jin ka koi nahin hai khuda ke siwa
ye andhere mein raushan hai jo ek diya
is ka koi nahin hai hawa ke siwa
wo jo uth kar gaya meri dahliz se
us ko kya chahiye tha wafa ke siwa
aaj 'ahmad' ye ehsas hum ko hua
koi apna nahin hai khuda ke siwa
47969 viewsghazal • English