kaam is duniya mein aa kar humne kya achchha kiya

By sahir-dehlaviNovember 15, 2020
kaam is duniya mein aa kar hum ne kya achchha kiya
husn ko be-parda nam-e-ishq ko ruswa kiya
husn ne aur ishq ne hangama ek barpa kiya
shama ko raushan kiya parwane ko shaida kiya


be-tamannai mein aasuda tha yarab kya kiya
kis liye mere dil-e-diwana ko dana kiya
ek jazba tha azal se gosha-e-dil mein nihan
ishq ko is husn ke bazar ne ruswa kiya


teri qismat ka nawishta tha kisi ka kya qusur
tere aage aa gaya a dil jo tha tera kiya
nar ne ki sar-kashi roz-e-azal jab ikhtiyar
khak ko bakhsha sharaf yani bashar paida kiya


dil ko parwana banaya kar diya jaan ko nisar
shama-ru ke ishq mein hum kya kahen kya kya kiya
jo kiya hukm-e-qaza se hum ne 'sahir' tha baja
hum ne apni rae se jo kuchh kiya be-ja kiya


71358 viewsghazalEnglish