kaam nimTa ke hum to so gae hain
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
kaam nimta ke hum to so gae hain
dekhne-bhar ko khwab ho gae hain
jin ko manzil se koi shaghl nahin
aise kuchh log sath ho gae hain
pahle wo khoe jo the markaz-e-did
aur ab sath wale kho gae hain
'ishq mein aise kuchh sabaq bhi mile
jo hamesha ko yaad ho gae hain
lahlahaega phir hamara wajud
teri mitti mein khud ko bo gae hain
yun ki bas tere aas-pas tha main
log mere bhi panw dho gae hain
dekhne-bhar ko khwab ho gae hain
jin ko manzil se koi shaghl nahin
aise kuchh log sath ho gae hain
pahle wo khoe jo the markaz-e-did
aur ab sath wale kho gae hain
'ishq mein aise kuchh sabaq bhi mile
jo hamesha ko yaad ho gae hain
lahlahaega phir hamara wajud
teri mitti mein khud ko bo gae hain
yun ki bas tere aas-pas tha main
log mere bhi panw dho gae hain
65192 viewsghazal • English