kab diya ye jala hawa ke liye

By sabeensaifFebruary 28, 2024
kab diya ye jala hawa ke liye
'ishq hota nahin fana ke liye
yaad mujh ko na aa khuda ki tarah
ab mujhe bakhsh de khuda ke liye


aaj dekha shahab-e-saqib to
hath phaila diye du'a ke liye
main ne puchha ki zindagi kyon hai
hans ke bola teri saza ke liye


ek lamhe ko jo aman de de
kitna tarse hain us rida ke liye
dil se koi sada nahin ubhri
jab se bichhda hai wo sada ke liye


mar deti hai jaan se hum ko
phir bhi marte hain hum ana ke liye
apne khun se diya jalaya hai
main ne is sar-phiri hawa ke liye


ruh ko bhi asir kar dala
hum ne sayyaad ki raza ke liye
kaun un ko mita saka hai 'sabin'
mit gae hain jo karbala ke liye


60878 viewsghazalEnglish