kab kare qasd yar aawan ka

By abdul-wahab-yakroOctober 22, 2020
kab kare qasd yar aawan ka
dil-e-viran ke basawan ka
ram mashuq agar howe aashiq
tod de sar raqib rawan ka


jhad mat jaan tujhe khuda ki sun
dil mera hai ghubar daman ka
jab phadakta hai bijli jyun dil
jhad lagati hai nayan sawan ka


bed-e-majnun kahoge 'yakru' kun
khub laila sati hai baaman ka
79309 viewsghazalEnglish