kab kisi mehrban se aati hai

By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
kab kisi mehrban se aati hai
'aql to imtihan se aati hai
us parinde ko kya pata us ki
maut ud kar kaman se aati hai


khak karti hai aashiyan kitne
barq jab aasman se aati hai
hath dil par rakha kaha us ne
shadmani yahan se aati hai


ujda ujda hai ye makan lekin
is mein khushbu kahan se aati hai
jaisi rakhta hai aadmi fitrat
samne wo bayan se aati hai


janm dete hain man pita lekin
maut aakhir kahan se aati hai
ghar mein rahti hai man 'nazar' jab tak
raushni aashiyan se aati hai


59528 viewsghazalEnglish