kab kisi ne ki kisi se dil ki baat

By muzaffar-erajOctober 25, 2023
kab kisi ne ki kisi se dil ki baat
lab hila kar ye kaha tha kah di baat
ek na ek din tum ko aana hai magar
aaj aate main bhi kahta apni baat


tum ne sun li hai zamane ki katha
kya kahin us mein koi thi meri baat
nam lete hi kaha us ne janab
baad us ke us ne ki man-bhai baat


un ko dawa hai ki kahte hain wo sach
mujh se kyon kahte nahin wo sachchi baat
wo na aaen main bhi lauta kaf se
sabz pariyon ki jahan hoti thi baat


mujh se diwane ko farzana kaho
sher mein ho dur tak jaegi baat
wo bhi nalan main bhi kuchh bezar tha
darmiyan phir aa gai ye kaisi baat


sab ko 'iraj' se hai kyunkar dosti
wo to sunta hi nahin hai koi baat
23000 viewsghazalEnglish