kab marhala-e-gham se guzarna nahin hota pal-bhar ko sawari se utarna nahin hota udne do meri khak sametoge kahan tak yakja hi na hota jo bikharna nahin hota chhat se kabhi utra to nazar aaya falak par zine se kabhi us ka utarna nahin hota duniya ka koi kaam ho aasan se aasan hona ho to hota hai wagarna nahin hota lata hun samajh soch ke har baat zaban par kahta hun wahi jis se mukarna nahin hota ek-adh koi sher kai sal mein kahta jaldi hi mujhe kya thi jo marna nahin hota