kab mitae se mita ranj-o-suubat ka asar hai watan mein bhi mere chehre pe ghurbat ka asar ho chala ishq-e-majazi pe haqiqat ka asar aa chala mujh ko nazar kasrat mein wahdat ka asar sari duniya se nahin mujh se faqat bezar the aur is se badh ke kya hota mohabbat ka asar be-wafa un ka laqab hai ba-wafa mera khitab wo hai tinat ki kharabi ye hai ulfat ka asar moajiza dekha tasawwur ka to aankhen khul gain pa raha hun aaj main jalwat mein khalwat ka asar wo pari se hur ban jate yaqini baat thi un ki sirat par agar pad jata surat ka asar un pe dil hi aa gaya le hi gae wo mera dil ye taqaza husn ka tha wo shararat ka asar ek jagah rahta na tha tik kar ye aadat thi meri khinch laya khuld tak ab mujh ko wahshat ka asar khair se milte jo bad-khuni hai chehre se ayan ye masal sach hai ki ho jata hai sohbat ka asar aap kya the ho gae kya faiz se ustad ke dekh lije 'shad' ye hota hai nisbat ka asar