kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main phir bhi har manzil ko pahli rahguzar pata hun main murshid-e-mai-khane ke qadmon pe sar pata hun main ab dimagh-e-mai-parasti arsh par pata hun main har taraf saqi tera faiz-e-nazar pata hun main khanqahon mein bhi masti ka asar pata hun main dam-ba-dam us rukh pe ek husn-e-digar pata hun main har nigah-e-shauq ko pahli nazar pata hun main sajda us ka hai jabin us ki hai qismat us ki hai jis ki peshani pe un ki khak-e-dar pata hun main allah allah sakinan-e-ku-e-jaanan ka waqar har gada-e-astan ko tajwar pata hun main arsh ko hairat haram ko wajd nazan bandagi hae wo aalam ki jab sajde mein sar pata hun main le gae kis ke rukh o gesu bahaar-e-roz-o-shab muddaton se ghar ko be-sham-o-sahar pata hun main dur hoti hai rah-e-ghurbat mein koson ki thakan jab kisi manzil pe koi ham-safar pata hun main ahl-e-mahfil honge kya ahl-e-basirat ai 'shafiq' mir-e-mahfil hi ko be-fikr-o-nazar pata hun main