kab tak gardish mein rahna hai kuchh to bata ayyam mujhe kashti ko sahil mil jata aur thoda aaram mujhe dasht nahin hai ye to mera ghar hai lekin jaane kyun uljhae rahti hai ek wahshat si subh-o-sham mujhe apni zat se bahar aana ab to meri majburi hai warna meri ye tanhai kar degi bad-nam mujhe mumkin hai ek din main in rishton se munkir ho jaun aur agar aisa hota hai mat dena ilzam mujhe mere dil ka dard suna to us ki aankhen bhar aain is se behtar mil nahin sakte apne munasib dam mujhe zehn ko ye aawara sochen kis manzil par le aain kitni mushkil se yaad aaya aaj tera bhi nam mujhe nind se israr na kartin shayad meri aankhen bhi pahle se malum jo hota khwabon ka anjam mujhe dasht-e-talab se kah do mujh ko meri manzil batla de man liya hai ab to sarabon ne bhi tishna-kaam mujhe ek muddat se khoya hua tha main apni hi duniya mein tum ko dekha to yaad aaya tum se tha kuchh kaam mujhe