kab tak mahkegi be-as gulabon mein mar jaegi khushbu band kitabon mein kabhi darun-e-zat ke manzar the in mein kankar hi kankar hain ab talabon mein hath lagate hi mitti ka dher hue kaise kaise rang bhare the khwabon mein girti jae rishton ki mazbut fasil nakhlistan badalta jae sarabon mein zehnon mein tashwish dilon mein khauf bahut sari basti hai mahsur azabon mein aai hisabon mein jab duniya ki taskhir ek lamha ghaeb tha sabhi hisabon mein