kab tak phirunga hath mein kasa utha ke main ji chahta hai bhag lun duniya utha ke main hoti hai nind mein kahin tashkil-e-khadd-o-khal uthta hun apne khwab ka chehra utha ke main baad az sada-e-kun hui taqsim-e-hast-o-bud phirta tha kaenat akela utha ke main kyunkar na sahl ho mujhe rah-e-dayar-e-ishq laya hun dasht-e-najd ka naqsha utha ke main badhne laga tha nashsha-e-takhliq-e-ab o khak wo chaak utha ke chal diya kuza utha ke main hai saat-e-visal ke malne pe munhasir kas samt bhagta hun ye lamha utha ke main qurbat-pasand dil ki tabiat mein tha tazad khush ho raha hun hijr ka sadma utha main ab mujh ko ehtimam se kije supurd-e-khak ukta chuka hun jism ka malba utha ke main achchha bhala to tha tan-e-tanha jahan mein pachhta raha hun khalq ka beda utha ke main 'azar' mujhe madine se hijrat ka hukm tha sahra mein le ke aa gaya khema utha ke main