kab tak wahi sarab wahi iztirab ho

By aamir-azherDecember 28, 2023
kab tak wahi sarab wahi iztirab ho
main hi karun bhi yaad mujhi par 'azab ho
padhte to hon kai pe samajhta na ho koi
aisa na ho ki dil bhi khuda ki kitab ho


mangi jo ja rahi hai du'a kaamyabi ki
apni to ye du'a hai du'a kaamyab ho
42864 viewsghazalEnglish