kab talak chalna hai yun hi ham-safar se baat kar manzilen kab tak milengi rahguzar se baat kar tujh ko mil jaega tere sab sawalon ka jawab kashtiyan kyun dub jati hain bhanwar se baat kar kab talak chhupta rahega yun hi apne-ap se aaine ke ru-ba-ru aa apne dar se baat kar badh chuki hain ab teri fikr-o-nazar ki wusaten jugnuon ko chhod ab shams o qamar se baat kar is tarah to aur bhi teri ghutan badh jaegi ham-nawa koi nahin to baam-o-dar se baat kar dard kya hai ye samajhna hai to apne dil se puchh aansuon ki baat hai to chashm-e-tar se baat kar har safar manzar se pas-e-manzar talak to kar liya dekhna kya chahti hai ab nazar se baat kar dhup kaise sae mein tabdil hoti hai yahan is hunar ko sikhna hai to shajar se baat kar zakhm poshida raha to dard badhta jaega be-takalluf ho ke apne chaara-gar se baat kar