kabe ka shauq hai na sanam-khana chahiye jaanana chahiye dar-e-jaanana chahiye saghar ki aarzu hai na paimana chahiye bas ek nigah-e-murshid-e-mai-khana chahiye hazir hain mere jaib-o-gareban ki dhajjiyan ab aur kya tujhe dil-e-diwana chahiye aashiq na ho to husn ka ghar be-charagh hai laila ko qais shama ko parwana chahiye parwarda-e-karam se to zeba nahin hijab mujh khana-zad-e-husn se parda na chahiye shikwa hai kufr ahl-e-mohabbat ke waste har ek jafa-e-dost pe shukrana chahiye baada-kashon ko dete hain saghar ye puchh kar kis ko zakat-e-nargis-e-mastana chahiye 'bedam' namaz-e-ishq yahi hai khuda-gawah har dam tasawwur-e-rukh-e-jaanana chahiye