kabe se mujh ko lae sawad-e-kunisht mein islah di buton ne khat-e-sar-nawisht mein phirte hain kucha-e-but-e-qudsi-sarisht mein diwane laten mar rahe bahisht mein kaffara-e-sharab main deta hun naqd-e-hosh sargarm hun talafi-e-amal-e-zisht mein aksar jaza-e-sajda mein khani hain thokaren likkha hai kya khat-e-kaf-e-pa sarnawisht mein huron se garmiyan jo kahun us sharir ki lag jae aag aatish-e-gul se bahisht mein sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-ashiqan wo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein zindan se aankhen senkne us gul ke ghar gae dozakh se aag lene chale hum bahisht mein begane ek hamin nazar aae pas-e-fana bedardon ka hujum hai bagh-e-bahisht mein but-khane mein safedi-e-husn-e-farang hai girje ki raushni hai sawad-e-kunisht mein jal jal ke khak hote hain be-ashk-o-ah hum aab-o-hawa nahin hai hamari sarisht mein garmi mein tere kucha-nashinon ke waste pankhe hain qudsiyon ke paron ke bahisht mein sona kasaun ashrafi-e-dagh-e-sajda ka sang-e-mahak lagaun bina-e-kunisht mein bijli chamak gai jo hansi mein phadak gae shokhi bhari hui hai tumhaari sarisht mein taswiren teri dast-e-hinai ki le gae chhape lahu ke hum ne lagae bahisht mein karti hain khun charkh buton ki talliyan rang-e-shafaq lagati hai saqf-e-kunisht mein abr-e-bahaar jauhar-e-shamshir-e-yar the gulha-e-zakhm khil gae urdi-bahisht mein taqdir mein hai teri dahan-o-kamar ka ishq sirr-e-nihan likha hai meri sarnawisht mein di jaan ek hur ke bose ki chat par qismat ne mujh ko zahr diya hai bahisht mein choron se guftugu-e-khat-e-sabz-e-yar hai tuti kisi ka bol raha hai bahisht mein adna ghulam-e-shah-e-wilayat hue 'munir' dasht-e-najaf ki khak hai meri sarisht mein