kabhi aankhon pe kabhi sar pe bithae rakhna zindagi talkh sahi dil se lagae rakhna lafz to lafz hain kaghaz se bhi khushbu phute safha-e-waqt pe wo phul khilae rakhna chand kya chiz hai suraj bhi ubhar aaega zulmat-e-shab mein lahu dil ka jalae rakhna hurmat-e-harf pe ilzam na aane pae sukhan-e-haq ko sar-e-dar sajae rakhna farsh to farsh falak par bhi sunai dega meri aawaz mein aawaz milae rakhna kabhi wo yaad bhi aae to malamat karna kabhi us shokh ki taswir banae rakhna 'bakhsh' sikha hai shahidan-e-wafa se hum ne hath kat jaen alam munh se uthae rakhna