kabhi aansuon ko chhupana paDa hai

By maikash-azmiSeptember 23, 2023
kabhi aansuon ko chhupana pada hai
kabhi be-sabab muskurana pada hai
wahi jaanta hai jawani ki qimat
budhape mein jis ko kamana pada hai


tujhe hum ne pa to liya hai ai duniya
magar jaane kya kya ganwana pada hai
abhi main bada aadmi bhi nahin hun
mere pichhe kyon ye zamana pada hai


aziyyat hai kya shai mere dil se puchho
unhen kis tarah se bhulana pada hai
zamane ki ruswai ke dar se 'maikash'
tera nam likh kar mitana pada hai


14374 viewsghazalEnglish