kabhi aawaz de ek bar koi

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
kabhi aawaz de ek bar koi
agar maujud hai us par koi
sukun se din guzarta hai hamara
mangate hi nahin akhbar koi


yahan dair-o-haram banne se pahle
nahin thi aahani diwar koi
hazaron kaam hain dasht-e-junun mein
yahan phirta nahin bekar koi


ab aise jurm bhi hone lage hain
nahin hai jin ka zimmedar koi
hum apna ajnabi-pan bhul jaen
agar pahchan le ek bar koi


suna hai kal tere kuche mein hum ne
katar di hath se talwar koi
44861 viewsghazalEnglish