kabhi ahl-e-muhabbat yun na KHauf-e-jism-o-jaan karte

By ajiz-matviMay 29, 2024
kabhi ahl-e-muhabbat yun na khauf-e-jism-o-jaan karte
agar shaikh-o-barahman jashn-e-naqus-o-azan karte
nawazish kash mujh par itni mere mehrban karte
kabhi dil ki tasalli ke liye bhule se han karte


hamare jazba-e-tamir se hote agar waqif
to sadiyon barq ke sho'le tawaf-e-ashiyan karte
fasurda yun na hote ghuncha-o-gul mausam-e-gul mein
agar dil se chaman ki aabiyari baghban karte


nawed-e-fasl-e-gul aate hain dil apna tadap uttha
asir-e-gham hain warna hum bhi sair-e-gulsitan karte
faza-e-sahil-e-ummid agar kuchh ras aa jati
to hum kyun nazr-e-tufan kashti-e-umr-e-rawan karte


hamein bhi mil gai hoti sanad manzil-shanasi ki
saliqe se agar taqlid mir-e-karwan karte
kabhi baad-e-saba ban kar kabhi jarub-kash ho kar
tamanna thi musalsal hum tawaf-e-astan karte


tha chup rahna hi behtar un ki bazm-e-naz mein 'ajiz'
koi gham-ashna hota to sharh-e-dastan karte
33532 viewsghazalEnglish