kabhi bahaar ka mausam naya dikhai de

kabhi bahaar ka mausam naya dikhai de
gulab baaten karen aur saba dikhai de

shab-e-junun hai koi moajiza dikhai de
kisi makan ka koi dar khula dikhai de

main chahun tishna-labi kya se kya dikhai de
tamam ju-e-rawan aabla dikhai de

tamam shab ke andhere len intiqam agar
charagh chhinne wali hawa dikhai de

hisar-e-tira-shabi par nazar jamae raho
ajab nahin ki koi rasta dikhai de

batae kaun hamein karb zard mausam ka
shajar mein koi to patta hara dikhai de

tu mere zehn pe chha jae khushbuon ki tarah
main phul dekhun sarapa tera dikhai de

mizaj aisa bane aap hi ki aankhon ko
bahe kisi ka lahu aap ka dikhai de

wahan talash na karna kabhi mujhe 'kazim'
jahan kisi ka koi naqsh-e-pa dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close