kabhi bhula ke kabhi usko yaad kar ke mujhe

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
kabhi bhula ke kabhi us ko yaad kar ke mujhe
'jamal' qarz chukane hain 'umr bhar ke mujhe
abhi to manzil-e-jaanan se koson dur hun main
abhi to raste hain yaad apne ghar ke mujhe


jo likhta phirta hai diwar-o-dar pe mera nam
bikher de na kahin harf harf kar ke mujhe
mohabbaton ki bulandi pe hai yaqin to koi
gale lagae meri sath par utar ke mujhe


charagh ban ke jala jis ke waste ek 'umr
chala gaya wo hawa ke supurd kar ke mujhe
59867 viewsghazalEnglish