kabhi dil mein utar jaana kabhi dil se utar jaana
By aftab-ranjhaMay 22, 2024
kabhi dil mein utar jaana kabhi dil se utar jaana
yahi hai dilbari un ki mera ghut ghut ke mar jaana
chaman mein jo hua us ka na do ilzam gulchin ko
bahaaron ka khafa hona gulabon ka bikhar jaana
tumhaare hath mein suraj tumhaare hath mein tare
ai qasid le ke laila ko meri rah se guzar jaana
karen shikwa kisi se kya yahi qismat hamari thi
wahi dushman nikal aaya jise bhi mo'tabar jaana
bada hi khwar karti hai meri nazuk-mizaji bhi
kahin par zabt kar jaana kahin par aankh bhar jaana
hamari sadgi dekhen 'adu ke sath chal nikle
takalluf hi takalluf mein use bhi ham-safar jaana
mujhe to hadson ne hi kisi surat na di mohlat
kabhi zindan ko ja nikle kabhi sahra ko ghar jaana
na daulat hai na shohrat hai mohabbat kya musibat hai
ai pyare dost kuchh ilzam mere nam kar jaana
nigah-e-yar bhi qatil 'adu ke war bhi qatil
kaleja tham kar tu bhi wahan ai nama-bar jaana
hamein har haal mein jina hai aur har haal mein marna
ye kaisa khel hai 'barham' idhar rahna udhar jaana

59140 viewsghazal • English