kabhi dimagh kabhi dil sata raha hai mujhe
By shariq-ali-shariqJanuary 5, 2024
kabhi dimagh kabhi dil sata raha hai mujhe
ye kaisa dard mere ham-nawa diya hai mujhe
ubhar gae hain sarapa nuqush aankhon mein
wo harf harf bahut yaad aa raha hai mujhe
tumhaare husn ki ta'rif likhta phirta hun
zamana aise hi sha'ir samajh raha hai mujhe
kiya hai is tarah badnam 'ishq ne tere
teri gali ka har ek shakhs jaanta hai mujhe
koi mile na mile farq kuchh nahin padta
bas ek tum se zamane mein wasta hai mujhe
main in pe rakh sakun ilzam qatl ka apne
tumhaari aankhon se itna to faeda hai mujhe
main japta phirta hun tera hi nam har lamha
teri nigah ne pagal bana diya hai mujhe
tumhaare nam se 'shaariq-ali’ hua mansub
tumhaare nam zamane ne likh diya hai mujhe

32338 viewsghazal • English