kabhi jab muddaton ke baad us ka samna hoga siwae pas aadab-e-takalluf aur kya hoga yahan wo kaun hai jo intikhab-e-gham pe qadir ho jo mil jae wahi gham doston ka muddaa hoga nawed-e-sar-khushi jab aaegi us waqt tak shayad hamein zahr-e-gham-e-hasti gawara ho chuka hoga salib-e-waqt par main ne pukara tha mohabbat ko meri aawaz jis ne bhi suni hogi hansa hoga abhi ek shor-e-ha-o-hu suna hai sarbanon ne wo pagal qafile ki zid mein pichhe rah gaya hoga hamare shauq ke aasuda-o-khush-haal hone tak tumhaare aariz-o-gesu ka sauda ho chuka hoga nawaen nikhaten aasuda chehre dil-nashin rishte magar ek shakhs is mahaul mein kya sochta hoga hansi aati hai mujh ko maslahat ke in taqazon par ki ab ek ajnabi ban kar use pahchanna hoga dalilon se dawa ka kaam lena sakht mushkil hai magar is gham ki khatir ye hunar bhi sikhna hoga wo munkir hai to phir shayad har ek maktub-e-shauq us ne sar-angusht-e-hinai se khalaon mein likha hoga hai nisf-e-shab wo diwana abhi tak ghar nahin aaya kisi se chandni raaton ka qissa chhid gaya hoga saba shikwa hai mujh ko un darichon se darichon se darichon mein to dimak ke siwa ab aur kya hoga