kabhi jo aankh pe gesu-e-yar hota hai sharab-khane pe abr-e-bahaar hota hai kisi ka gham ho mere dil pe bar hota hai usi ka nam gham-e-rozgar hota hai ilahi khair ho un be-zaban asiron ki qafas ke samne zikr-e-bahaar hota hai chaman mein aise bhi do chaar hain chaman wale ki jin ko mausam-e-gul nagawar hota hai sawal-e-jam tere mai-kade mein ai saqi jawab-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai hamein wafa pe wafa aaj tak na ras aai unhen sitam pe sitam sazgar hota hai labon pe aa gaya dam band ho chukin aankhen chale bhi aao ki khatm intizar hota hai kahan wo wasl ki raaten kahan ye hijr ke din khayal-e-gardish-e-lail-o-nahaar hota hai junun to ek badi chiz hai mohabbat mein zara se ashk se raaz aashkar hota hai mere janaze ko dekha to yas se bole yahan pe aadmi be-ikhtiyar hota hai khuda rakhe tumhein kya koi jaur bhul gae jo ab talash hamara mazar hota hai hamara zor hai kya baghban utha lenge ye aashiyan jo tujhe nagawar hota hai ajib kashmakash-e-bahr-e-gham mein dil hai 'qamar' na dubta hai ye beda na par hota hai