kabhi jo hum zara bahut sanbhal gae
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
kabhi jo hum zara bahut sanbhal gae
to chhanw chhanw dhup mein nikal gae
mere liye bhi to khuda nahin raha
tere gunahgar bhi badal gae
na jaane kaisi shakl dete aaj ko
wo faisle jo hote-hote tal gae
mile hain jo hamein ye kanch ke badan
kamal hai ki itne roz chal gae
ye khauf khae ja raha hai ab mujhe
agar kabhi tamashbin badal gae
judai kah liye ise ki aur kuchh
hum ek-dusre ke sar se tal gae
sawal hi ko odhiye bichhaiye
jawab mangne ke din nikal gae
to chhanw chhanw dhup mein nikal gae
mere liye bhi to khuda nahin raha
tere gunahgar bhi badal gae
na jaane kaisi shakl dete aaj ko
wo faisle jo hote-hote tal gae
mile hain jo hamein ye kanch ke badan
kamal hai ki itne roz chal gae
ye khauf khae ja raha hai ab mujhe
agar kabhi tamashbin badal gae
judai kah liye ise ki aur kuchh
hum ek-dusre ke sar se tal gae
sawal hi ko odhiye bichhaiye
jawab mangne ke din nikal gae
52860 viewsghazal • English