kabhi jo rasta hamwar karne lagta hun kuchh aur bhi use dushwar karne lagta hun mere wajud ke andar bhadakne lagta hai jab us charagh ka inkar karne lagta hun nazar mein lata hun us chashm-e-nim-baz ko main aur apne aap ko bimar karne lagta hun jahan bhi koi zara hans ke baat karta hai main apne zakhm numudar karne lagta hun wo shor hota hai khwabon mein 'aftab' 'husain' ki khud ko nind se bedar karne lagta hun