kabhi-kabhaar ajab waqt aan paDta hai

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
kabhi-kabhaar 'ajab waqt aan padta hai
na yaad padta hai koi na dhyan padta hai
barahnagi hai kuchh aisi ki jism dhanpne ko
zamin ke waste kam aasman padta hai


ye jaante hue bhi dhup mein qayam kiya
zara se fasle par saeban padta hai
kisi zamane mein manzil ke pas hota tha
wo sang-e-mil jo ab darmiyan padta hai


na kam samajh safar-e-'umr-e-yak-nafas ko 'jamal'
is ek rah mein sara jahan padta hai
75872 viewsghazalEnglish