kabhi kabhi hi wo mujhse nahin jhagaDta hai

By dinesh-kumar-drounaFebruary 17, 2021
kabhi kabhi hi wo mujh se nahin jhagadta hai
wagarna dekhta hai aur tut padta hai
meri nazar se to hai dur wo bahut lekin
mere khayal ke han aas-pas padta hai


hara-bhara to bahut tha wo bans ka jangal
kise pata tha magar aag bhi pakadta hai
yaqin us ki rifaqat ka kar raha hun main
ki jis ka kaam mere dushmanon se padta hai


yahin pe rabt mein aata hai ek doraha
yahin pe aa ke mera rabta bigadta hai
main aisi jang mein hun ek aisi jang jahan
mera khulus hi mere khilaf ladta hai


73564 viewsghazalEnglish