kabhi kabhi koi chehra ye kaam karta hai mere badan mein lahu tez-gam karta hai har ek lafz ko mah-e-tamam karta hai meri zaban se jab wo kalam karta hai kai dinon ke safar se main jab palatta hun wo apne pure badan se kalam karta hai bahut aziz hain us ko bhi chhuttiyan meri wo roz koi naya ehtimam karta hai shikayaton ki ada bhi badi nirali hai wo jab bhi milta hai jhuk kar salam karta hai main mushtahar hun sitamgar ki mehrbani se wo apne sare sitam mere nam karta hai kisi ke hath mein khanjar kisi ke hath mein phul qalam hai ek magar kitne kaam karta hai jab us se milta hun daftar ko bhul jata hun 'zafar' wo baaton hi baaton mein sham karta hai