kabhi kapDe badalta hai kabhi lahja badalta hai
By wasim-nadirMarch 1, 2024
kabhi kapde badalta hai kabhi lahja badalta hai
magar in koshishon se kya kahin shajra badalta hai
parinda sochta ye hai rihai mil gai mujh ko
safai ki gharaz se jab kabhi pinjra badalta hai
tumhaare ba'd ab jis ka bhi ji chahe mujhe rakh le
janaza apni marzi se kahan kandha badalta hai
bahut ziddi musawwir hai nai pahchan ki khatir
meri taswir ka har roz wo chehra badalta hai
meri aankhon ki pahli aakhiri had hai tera chehra
main wo pagal nahin hun roz jo rasta badalta hai

54092 viewsghazal • English