kabhi kuchh to kisi ke waste dil se dua kar lo yahi insaniyat ka farz hai tum bhi ada kar lo ye duniya khub-surat hai yaqin aa jaega tum ko kisi se dil lagane ki kabhi koi khata kar lo hamari apni fitrat hai wafa karna wafa kar li tumhaari apni marzi hai wafa kar lo jafa kar lo tumhaare har qadam par kyon na jaane dil dhadakta hai tumhaara kya bharosa tum na jaane kya se kya kar lo koi bhi shakhs duniya mein tumhein chhota nazar na aae tum apne sochne ka daera itna bada kar lo