kabhi main chalun kabhi tu chale kabhi be-maza ye safar na ho

By
kabhi main chalun kabhi tu chale kabhi be-maza ye safar na ho
kise manzilon ki talash hai hamein chalte rahne ka dar na ho

kahan shab hai aur kahan sahar kahan dhup aur kahan chandni
main tere guman mein hi rahun mujhe in sabhi ki khabar na ho

ye jo aansuon ka lifafa hai kai dard is mein pale badhe
kabhi jhank le meri aankh mein tujhe e'tibar agar na ho

na 'ayan huin meri khamiyan na 'ayan huin teri khamiyan
koi karna chahe bhi gar 'ayan to sada mein us ki asar na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close