kabhi sanjidgi se dekh dil-awez hote hain

By irshad-anjumJuly 31, 2020
kabhi sanjidgi se dekh dil-awez hote hain
wahi lahje jo khanjar se ziyaada tez hote hain
mukammal khatm hoti hi nahin nafrat mohabbat se
maraz jata dawa se hai magar parhez hote hain


unhin mein kaamyabi ke anasir dhundhta hun main
wo lamhe zindagi mein jo shikan-amez hote hain
main dil mein chah kar bhi aur kuchh rakh hi nahin pata
is almari mein bas yaadon ke dastawez hote hain


hamein to zindagi ke zawiyon se hat ke jina hai
ki jab mausam nahin hota to hum zarkhez hote hain
83751 viewsghazalEnglish