kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera hota rahta hai yun hi qarz barabar mera tut jate hain kabhi mere kinare mujh mein dub jata hai kabhi mujh mein samundar mera kisi sahra mein bichhad jaenge sab yar mere kisi jangal mein bhatak jae ga lashkar mera ba-wafa tha to mujhe puchhne wale bhi na the be-wafa hun to hua nam bhi ghar ghar mera kitne hanste hue mausam abhi aate lekin ek hi dhup ne kumhla diya manzar mera aakhiri jura-e-pur-kaif ho shayad baqi ab jo chhalka to chhalak jae ga saghar mera